Alto's Adventure Hai Ekdum Endless Visual Treat For Mobile Gamers
Apple iphone users ke pass to ye pichhle saal ki february se hi tha par android users ko ye jhakaas graphics waala game ab jaakar ke naseeb hua hai 11 february 2016 se. Par jo bhi ho der aaye durust aaye aur android par ye free release hua hai isliye iphone users ki tarah hume kuchh chukaana bhi nahi pad raha hai, Wo baat alag hai ki free hone ki wajah se hume in-app purchases aur ads ka saamna karna padega par don't worry kyuki wo sab gameplay ke beech me nahi aata hai aur ek ad dekhne ke baad aapko ek mast jeevandaan mil jaata hai joki i liked a lot.
Ab baat karte hai iske sabse best aspect ki aur wo hai iske mast graphics. Iske graphics ekdum kamaal ke hai aur sirf iski scenery ko nikhaarte rehne me hi game nikal jaata hai aur aapko pata bhi nahi chalta hai. Ek taraf game chalta hota hai aur dusri taraf background me day aur night cycle jiske beech ka transition ekdum real life jitna hi sundar hai.
Graphics to mast hai par gameplay-wise zaroor isme innovation ki kami hai kyuki iss maamle me ye baaki ke endless runners jaise ki jet pack joyride aur isi tarah ki baaki ke clones jaisa hi hai. Jabtak ho sake bhaagte raho aur jab maro to ya to keemat chukaao ya fir dobaara se bhaagna shuru karo. Isi sabke beech aapko kuchh missions milenge jinhe poora karke level badhenge aur achievements to hai hi hai. Par fir bhi ye ek ski-ing game hai jiske atmosphere me khone se aap khudko bilkul bhi nahi rok paaoge isliye thodi bahot unoriginality ko maaf kiya jaa sakta hai.
Finally meri taraf se Alto ke iss amazing visually appealing adventure ko milta hai jhakaasness ka thappa aur isey abhi download karke maze lo aur dosto ke highscore ko beat karo aur dum hai to mera waala bhi.
Links -
Apple Appstore
Google Playstore
Article By - Boss Fire
No comments:
Post a Comment