 |
Yes, waakei isey bahot saare game of the years award mile hai! |
Genre - Interactive Adventure
Ab iss amazing game ke baare me kya kahuu! Upar poster par jo likha hai wahi kaafi hai ye bataane ke liye ki ye bahot hi jyada mast hai. Ye itna mast hai ki isey Game of The Year award tak mila tha 2012 me. Haa ab to thoda puraana ho gaya hai ye game aur isliye its possible ki aaplog isey abtak khel bhi chuke hoge shaayad par kyuki mujhe yahaa jyada se jyada best games ki info share karni hai sabke saath to bina iss game ki baat kiye ye kaam poora nahi ho sakta. Aur haa ye game ek American Comic par based hai jispar ki isi naam ki ek aur Live Action TV series bhi based hai. Maine TV series se pehle game khela aur I am glad jo aisa kiya kyuki Game me alag characters hai isliye Game ki story samajhne ke liye TV series ya comic padhne ki zaroorat bilkul bhi nahi hai. Aur iski story ekdum badhiya hai aur end me to aap bina roye reh hi nahi paaoge.
Story

Sabse pehle baat karte hai iske best element ki aur wo hai story. Ab history me jaa chuke hai wo din jab log kehte thay ki video games me achchhi story ki umeed karna hi bekaar hai. Video Game me bas ulloo panti hoti hai jisey karne me bas mazaa aana chahiye aur sabkuchh jaaye bhaadme. Ab aisa nahi hai. Aajkal ke latest games ne saabit kardiya hai ki Video Game ek art form hai jisme interaction ke saath saath hume ek adventure for ages bhi mil sakta hai. Iski story hai Everett Lee ke baare me joki jail me le jaaya jaa raha tha ki tabhi duniya me zombie apocalypse shuru ho gaya aur marey log zinda hoke zinda logo ko khaane me lag jaate hai. Iss sabke beech Lee ko zindgi ek aur mauka deti hai apni galtiya sudhaarne ki jab wo Clementine se milta hai ek chhoti si ladki joki akele iss duniya me beshak nahi jee sakti. Ab aur jyada bataane ka matlab hai spoiler deke mazaa kharaab karna joki mai nahi karoonga. Bas aap ye jaanlo ki story ke maamle me aap iss game se koi shikaayat kar hi nahi sakte. Aur wo ending....{Crying}
Gameplay
Ab kyuki ye ek adventure game hai aur iska sabse strong point kyuki story hai isliye gameplay bhi iska ek adventure style ka hi hai. Mostly puzzle element se bhara aur puzzles bhi itna mushkil nahi ki aapko jyada akal lagaani pad jaaye. Bas apna average human akal istemaal karte rehna aur aapko koi bhi dikkat nahi hogi. Ek interesting part ye zaroor hai gameplay me ki kahaani me aapko ekdum asli insaan ki tarah choices banaani padengi aur aage ki game ki story aapki ki hui choices par depend karengi aur bas yahi hai mere dosto wo cheez jo isey itna jyada awesome banaati hai. aapko turant hi faisla karna hoga ki aap kisey bachaana chahte ho, aap kisey khaana dena chahte ho, aap kisey naaraaz karna chahte ho aur aise hi bahot se aur haalaat. Aur har haalaat me choice karna beshak bahot mushkil hota hai.
Graphics
Iske graphics anokhe tarah ke hai jinki wajah se ye game boodhaa[aged} nahi hoga aur aagey samay me kabhi bhi iss game ko khela jaa sakega aur iske graphics tab bhi utne hi mast lagenge jitne ki abhi hai. Cel-shaded graphics ki yahi khaasiyat hoti hai. Halaaki ki kuchh logo ko zaroor iss tarah ke graphics bekaar lag sakte hai par ye uss game ki awesomeness ke beech nahi aatey isliye kise parwah hai.
Final Verdict
Ye game itna mast hai ki mai yahi kahunga ki aap isey abhi download karke khelke mazaa le aur baadme comment me aakar kahe ki maza aagaya khelke. Aur haa end me khudki bhaavnaao ko beh jaane dena ok dosto. Ye har platform par available hai isliye chahe aapko ye pakka hi khelna padega.
Agnirated - 10/10
HOW TO DOWNLOAD...????
ReplyDeleteCheck Out on Google Play Store. Pehla episode free hai
DeletePar ye to paise mang rha h agge ke season ke liye..
ReplyDeleteThnxx bhai aapke kaaran ek accha game mila
ReplyDelete