Friday, April 15, 2016

Kabaneri Of The Iron Fortress Review


Kyuki abhi iss anime ka sirf ek hi episode aaya hai isliye poori series ke baare me abhi to nahi keh sakte hai par abtak jo dekhne ko mila hai wo kaafi amazing hai isliye beshak ye series dekhne laayak hai agar aapko Attack On Titan pasand aaya ho to. Ye show hindi fansub me bhi available hai isliye naa dekhne ki koi wajah hi nahi bachi hai abto. Visit for hindi sub - http://hindisubanimes.blogspot.in/2016/04/kabaneri-of-iron-fortress.html

Kai log isey Attack On Train bhi kehne lage hai kyuki agar aapne iska trailer tak bhi dekho hoga to bhi aap samajh hi gaye hoge ki isme jo Kabane hai wo bilkul Titans aur zombies ka mixture hi hai halaaki fir bhi wo kaafi had tak daraawne aur interesting zaroor lagte hai,

Main character Ikoma bhi kamaal ka hai balki ye kehna galat nahi hoga ki wo kai maayno me Eren se bhi thoda bahot better hi hai par fir bhi pehle episode me kai cheeze Attack On Titan ke pehle episode jaisi hi thi isliye kuchh points kaafi predictable thay par ye sirf pehla hi episode hai isliye aagey jaake umeed hai ye aur bhi original ho sakta hai.

Ye hai kabane! 

Animation Quality beshak kamaal ki hai jaisa ki Wit Studio aur Attack On Titan banaane waalo se umeed thi

Ye hai main hero jo shaayad aapko Eren se bhi behtar hi lag sakta hai!


Aur haa har episode poora dekhne ke baad intezaar karna mushkil ho jaata hai agle episode ka.

1 comment:

  1. Aapne post kyu rok di anyway mai sabhi aap hi ka subbed video dekhta hu

    ReplyDelete