Apni behen ki khoz le jaati hai ek ladke ko uss jagah jisey kehte hai LIMBO!
Ye game joki 21, July 2010 ko release hua tha vaise to koi new nahi hai par fir bhi kaafi Indian log issey anjaan hai isliye maine socha chalo logo ko iss mast game ke bare me bataate hai joki dekhne me chahe kitna bhi ajeeb kyu na lage par khelne me poori tarah se hilaa daalta hai {galat mat samajhna} dimaag ko.
Sabse pehle baat karte hai uske naam ki jo hai Limbo! Limbo ka matlab vaise to koi aisi jagah hoti hai jahaa par aap agar fas gaye to kabhi bahar nahi aa paaoge. Ye term mythology related hai isliye jyada deeply jaane ka koi khaas faayda nahi.
GAMEPLAY
Iss game ki story simple si hi hai. Ek ladka apni behen ki khoz me ghus aaya hai Limbo me. Aur Limbo me uske saamne kai saare ajeebogareeb rakshaso {Jaise ki badi si makdi ya fir ek dimaag par kaabu karne waala keeda} se hota hai.
Gameplay me hai iss game ki asli taaqat kyuki iski puzzles bahot hi logically design ki gayi hai aur aapko bas zara sa creative sochna padega aur har puzzle yu solve ho jaayegi halaaki creative soch paana uske ajeeb se astmosphere me thoda muskil ho jaata hai par fir had se jyada saral game ka bhi kya faayda. Iss game ka genre hai puzzle platforming.
Ek awesome gameplay ko aur bhi awesome kya cheez banaati hai?
Beshak awesome controls aur iss game me hai wo awesome control bas kuchh basic button uses se iss game me itni complex cheeze karna possible hai ki poochho mat. Mainly control me hai character ko aagey peechhe karna, jhoolna, kisi cheez ko pakadna, aur beshak jump karna. Aur keval itney se hi aap makdi se fight kar sakte ho, dimaag ko bekaabu karne waale keede ko chakma de sakte ho, aap ajeebogareeb machineries releted puzzles solve kar sakte ho aur aisa hi bahot kuchh.
Ye game thoda daraawna bhi hai kyuki iska black and white atmosphere bahot hi eerie aur creepy hai par saath hi ye bahot beautiful bhi hai..Aur yakeen maano dosto mai horror genre ka koi fan nahi hoo khud bhi aur kyuki ye game mainly awesome puzzles sulzhaakar dushmano se ladne ke baare me hai isliye isme khoob interest banta hai aur aap khudko rok hi nahi paaoge aur khelne se.
Arnt Jensen, PlayDead ke game director (left) aur artist Morten Bramsen (back) ko "Best Visual Art" award mila
Limbo ke liye
Tim Schafer se 2011 ki
Game Developers Choice Awards me. Arnt ka sapna tha iss tarah ka game banaana aur wo kareeb 2006 se hi game ke development me jut gaye thay. Game me mauzood makdi ko unhone apne khudke makdiyo ke darr ke rehte dalwaaya.
AVAILABILITY
Ye game kareeb kareeb har current gen platform par available hai.
Ye game har platform me bilkul ek jaisa hi hai to aapke pass jo available hai aap uspar araam se khel sakte ho.
DOWNLOADS
Yahaa mai aapko Android, iOS aur PC ke liye hi link doonga.
Article By - Boss Fire