Sunday, February 28, 2016

Alto's Adventure Hai Ekdum Endless Visual Treat For Mobile Gamers


Apple iphone users ke pass to ye pichhle saal ki february se hi tha par android users ko ye jhakaas graphics waala game ab jaakar ke naseeb hua hai 11 february 2016 se. Par jo bhi ho der aaye durust aaye aur android par ye free release hua hai isliye iphone users ki tarah hume kuchh chukaana bhi nahi pad raha hai, Wo baat alag hai ki free hone ki wajah se hume in-app purchases aur ads ka saamna karna padega par don't worry kyuki wo sab gameplay ke beech me nahi aata hai aur ek ad dekhne ke baad aapko ek mast jeevandaan mil jaata hai joki i liked a lot.

Ab baat karte hai iske sabse best aspect ki aur wo hai iske mast graphics. Iske graphics ekdum kamaal ke hai aur sirf iski scenery ko nikhaarte rehne me hi game nikal jaata hai aur aapko pata bhi nahi chalta hai. Ek taraf game chalta hota hai aur dusri taraf background me day aur night cycle jiske beech ka transition ekdum real life jitna hi sundar hai.

Graphics to mast hai par gameplay-wise zaroor isme innovation ki kami hai kyuki iss maamle me ye baaki ke endless runners jaise ki jet pack joyride aur isi tarah ki baaki ke clones jaisa hi hai. Jabtak ho sake bhaagte raho aur jab maro to ya to keemat chukaao ya fir dobaara se bhaagna shuru karo. Isi sabke beech aapko kuchh missions milenge jinhe poora karke level badhenge aur achievements to hai hi hai. Par fir bhi ye ek ski-ing game hai jiske atmosphere me khone se aap khudko bilkul bhi nahi rok paaoge isliye thodi bahot unoriginality ko maaf kiya jaa sakta hai.

Finally meri taraf se Alto ke iss amazing visually appealing adventure ko milta hai jhakaasness ka thappa aur isey abhi download karke maze lo aur dosto ke highscore ko beat karo aur dum hai to mera waala bhi.

Links -

Apple Appstore

Google Playstore

Article By - Boss Fire

Friday, February 26, 2016

Hot Agni Fire ka Anime Recommendation

Hot Agni Fire ki taraf se iss week ka anime recommendation hai...


Ye anime ek tarah se do genres ka mixture hai kyuki isme jo duniya dikhayi gayi hai usme jaadu aur science dono hi sach hai aur dono ek dusre ke dushman bhi hai. Isliye aap isey sci-fi fantasy keh sakte ho. Thodi bahot fan service bhi hai aur isme characters bhi totally likable hai. Internet me isey kaafi average reviews diye gaye jinse mai bilkul bhi agree nahi karta well ho sakta hai ki maine itne jyada animes nahi dekhe isliye mujhe aisa naa laga ho par jo bhi ho mujhe ye bahot pasand aaya aur aapko bhi beshak aayega. 

Asli mazaa shuru hota hai 5th episode se. Vaise to shuru se hi mazaa aata hai par jyadatar animes ki tarah uske mood me baithne tak thoda time to lagta hi hai aur end tak pahochne ke baad aapko itna mazaa aa chuka hoga ki shaayad hi hoga ki aap iski second season turant naa dekho.

Iska Soundtrack bhi ekdum mast hai. Pehli baar sunne me bhale thoda ajeeb lage par 3 se 4 baar sunne ke baad shaayad ye aapke top 5 favourite songs me bhi aa hi jaayega. Sirf 24 episodes hai isliye koi jyada time bhi nahi lagega poora dekhne me.

Animations bhi ekdum badhiya hai aur detailed bhi.

Isme story hai Touma ke baare me joki Academy City me rehta hai aur uski kismat ekdum bekaar hai. Academy City rehne waale 80% log espers hai matlab ki wo students jinke pass psychic powers hai jinhe wo yahaa rehkar behtar karte rehte hai. Touma ke right hand me kisi bhi tarah ki energy ko bekaar karne ki taaqat hai fir chahe wo jaadu hi kyu naa ho. Fir uski mulaakat index se hoti hai jiske pass photographic memory hai matlab ki wo ek baar jo bhi dekhle usey fir kabhi nahi bhoolti aur uski memory me kareeb 300 kitaabey hai joki khatarnaak jaadu ke baare me joki agar koi insaan padhle to uska dimaag kharaab ho sakta hai.... 

To isi tarah ki story hai joki ekdum mast fight scenes se bharpoor hai aapko isme pakka hi mazaa aayega to dekhna zaroor.....

Ye english dub aur sub dono me hi available hai aur dono hi version ekdum mast hai to aap jo chaho dekh sakte ho. 

Agnirated - 8.5

Article By - Boss Fire

Saturday, February 6, 2016

The Walking Dead Season 1 {The Game}

Yes, waakei isey bahot saare game of the years award mile hai!

Genre - Interactive Adventure

Ab iss amazing game ke baare me kya kahuu! Upar poster par jo likha hai wahi kaafi hai ye bataane ke liye ki ye bahot hi jyada mast hai. Ye itna mast hai ki isey Game of The Year award tak mila tha 2012 me. Haa ab to thoda puraana ho gaya hai ye game aur isliye its possible ki aaplog isey abtak khel bhi chuke hoge shaayad par kyuki mujhe yahaa jyada se jyada best games ki info share karni hai sabke saath to bina iss game ki baat kiye ye kaam poora nahi ho sakta. Aur haa ye game ek American Comic par based hai jispar ki isi naam ki ek aur Live Action TV series bhi based hai. Maine TV series se pehle game khela aur I am glad jo aisa kiya kyuki Game me alag characters hai isliye Game ki story samajhne ke liye TV series ya comic padhne ki zaroorat bilkul bhi nahi hai. Aur iski story ekdum badhiya hai aur end me to aap bina roye reh hi nahi paaoge.

Story

Sabse pehle baat karte hai iske best element ki aur wo hai story. Ab history me jaa chuke hai wo din jab log kehte thay ki video games me achchhi story ki umeed karna hi bekaar hai. Video Game me bas ulloo panti hoti hai jisey karne me bas mazaa aana chahiye aur sabkuchh jaaye bhaadme. Ab aisa nahi hai. Aajkal ke latest games ne saabit kardiya hai ki Video Game ek art form hai jisme interaction ke saath saath hume ek adventure for ages bhi mil sakta hai. Iski story hai Everett Lee ke baare me joki jail me le jaaya jaa raha tha ki tabhi duniya me zombie apocalypse shuru ho gaya aur marey log zinda hoke zinda logo ko khaane me lag jaate hai. Iss sabke beech Lee ko zindgi ek aur mauka deti hai apni galtiya sudhaarne ki jab wo Clementine se milta hai ek chhoti si ladki joki akele iss duniya me beshak nahi jee sakti. Ab aur jyada bataane ka matlab hai spoiler deke mazaa kharaab karna joki mai nahi karoonga. Bas aap ye jaanlo ki story ke maamle me aap iss game se koi shikaayat kar hi nahi sakte. Aur wo ending....{Crying}

Gameplay

Ab kyuki ye ek adventure game hai aur iska sabse strong point kyuki story hai isliye gameplay bhi iska ek adventure style ka hi hai. Mostly puzzle element se bhara aur puzzles bhi itna mushkil nahi ki aapko jyada akal lagaani pad jaaye. Bas apna average human akal istemaal karte rehna aur aapko koi bhi dikkat nahi hogi. Ek interesting part ye zaroor hai gameplay me ki kahaani me aapko ekdum asli insaan ki tarah choices banaani padengi aur aage ki game ki story aapki ki hui choices par depend karengi aur bas yahi hai mere dosto wo cheez jo isey itna jyada awesome banaati hai. aapko turant hi faisla karna hoga ki aap kisey bachaana chahte ho, aap kisey khaana dena chahte ho, aap kisey naaraaz karna chahte ho aur aise hi bahot se aur haalaat. Aur har haalaat me choice karna beshak bahot mushkil hota hai.


Graphics

Iske graphics anokhe tarah ke hai jinki wajah se ye game boodhaa[aged} nahi hoga aur aagey samay me kabhi bhi iss game ko khela jaa sakega aur iske graphics tab bhi utne hi mast lagenge jitne ki abhi hai. Cel-shaded graphics ki yahi khaasiyat hoti hai. Halaaki ki kuchh logo ko zaroor iss tarah ke graphics bekaar lag sakte hai par ye uss game ki awesomeness ke beech nahi aatey isliye kise parwah hai.

Final Verdict

Ye game itna mast hai ki mai yahi kahunga ki aap isey abhi download karke khelke mazaa le aur baadme comment me aakar kahe ki maza aagaya khelke. Aur haa end me khudki bhaavnaao ko beh jaane dena ok dosto. Ye har platform par available hai isliye chahe aapko ye pakka hi khelna padega.

Agnirated - 10/10