Friday, November 27, 2015

Limbo

Apni behen ki khoz le jaati hai ek ladke ko uss jagah jisey kehte hai LIMBO!



     Ye game joki 21, July 2010 ko release hua tha vaise to koi new nahi hai par fir bhi kaafi Indian log issey anjaan hai isliye maine socha chalo logo ko iss mast game ke bare me bataate hai joki dekhne me chahe kitna bhi ajeeb kyu na lage par khelne me poori tarah se hilaa daalta hai {galat mat samajhna} dimaag ko.

     Sabse pehle baat karte hai uske naam ki jo hai Limbo! Limbo ka matlab vaise to koi aisi jagah hoti hai jahaa par aap agar fas gaye to kabhi bahar nahi aa paaoge. Ye term mythology related hai isliye jyada deeply jaane ka koi khaas faayda nahi.

GAMEPLAY


     Iss game ki story simple si hi hai. Ek ladka apni behen ki khoz me ghus aaya hai Limbo me. Aur Limbo me uske saamne kai saare ajeebogareeb rakshaso {Jaise ki badi si makdi ya fir ek dimaag par kaabu karne waala keeda} se hota hai.


     Gameplay me hai iss game ki asli taaqat kyuki iski puzzles bahot hi logically design ki gayi hai aur aapko bas zara sa creative sochna padega aur har puzzle yu solve ho jaayegi halaaki creative soch paana uske ajeeb se astmosphere me thoda muskil ho jaata hai par fir had se jyada saral game ka bhi kya faayda. Iss game ka genre hai puzzle platforming.

    Ek awesome gameplay ko aur bhi awesome kya cheez banaati hai?

Beshak awesome controls aur iss game me hai wo awesome control bas kuchh basic button uses se iss game me itni complex cheeze karna possible hai ki poochho mat. Mainly control me hai character ko aagey peechhe karna, jhoolna, kisi cheez ko pakadna, aur beshak jump karna. Aur keval itney se hi aap makdi se fight kar sakte ho, dimaag ko bekaabu karne waale keede ko chakma de sakte ho, aap ajeebogareeb machineries releted puzzles solve kar sakte ho aur aisa hi bahot kuchh.

     Ye game thoda daraawna bhi hai kyuki iska black and white atmosphere bahot hi eerie aur creepy hai par saath hi ye bahot beautiful bhi hai..Aur yakeen maano dosto mai horror genre ka koi fan nahi hoo khud bhi aur kyuki ye game mainly awesome puzzles sulzhaakar dushmano se ladne ke baare me hai isliye isme khoob interest banta hai aur aap khudko rok hi nahi paaoge aur khelne se.





Arnt Jensen, PlayDead ke game director (left) aur artist Morten Bramsen (back) ko "Best Visual Art" award mila Limbo ke liye Tim Schafer se 2011 ki Game Developers Choice Awards me. Arnt ka sapna tha iss tarah ka game banaana aur wo kareeb 2006 se hi game ke development me jut gaye thay. Game me mauzood makdi ko unhone apne khudke makdiyo ke darr ke rehte dalwaaya.

 



AVAILABILITY

Ye game kareeb kareeb har current gen platform par available hai.
Ye game har platform me bilkul ek jaisa hi hai to aapke pass jo available hai aap uspar araam se khel sakte ho.

DOWNLOADS

Yahaa mai aapko Android, iOS aur PC ke liye hi link doonga.

Download for Android {Aap main game se pehle ek chhota sa demo bhi try kar sakte ho.}

You can buy from official site.


Article By - Boss Fire

Friday, November 13, 2015

Pokemon Shuffle Mobile


Pokemon Shuffle Mobile

pokemon-shuffle

     Aapme se kai logo ko pehle se hi pata hoga agli saal 2016 me aaney waale augmented reality mobile game Pokemon GO ke baare me. Well, par uske aaney se pehle kaise le hum Pokemon maza? Mai bataata hoo, bas download karo Pokemon Shuffle Mobile apney dhaashu se Smartphone ke liye! Aap isey free me android aur iOS devices ke liye download kar sakte ho. Ye game kaafi hadtak Candy Crush Saga ke jaisa hai. Par isme mauzood Pokemon type twist isey aur bhi mazedaar bana deta hai kyuki isme aap Pokemon pakad sakte ho aur unka level badhaakar unhey evolve bhi kar sakte ho.


     Sabse mast baat ye hai ki isme aap Pokemon ko Mega Evole bhi kar sakte ho joki bilkul naya feature hai X and Y game se aaya hua. Isliye bhale ye ek puzzle game ho par isme mauzood Pokemon game mechanics isey Candy Crush Saga se awesome bana dete hai khaaskar ki agar aap Pokemon Fan hai fir to koi wajah hi nahi hai aapke iss game ke naa khelne ki. Iss game ke puzzle me hi battle ko mast tareeke se fit kiya gaya hai isliye aapko puzzle ke saath hi battling ka bhi maza milta hai.




 

     Vaise to ye game free hai par jaisa ki aajke kareeb 95% free games me hota hai isme bhi in-app purchases hai matlab ki aap agar zara sabr nahi kar sakte to aap asli paisa kharch karke game me jaldi aagey badh sakte ho. Jyadatar Indians ko beshak naa to sabr pasand hai aur naahi in-app purchases aur achchhi khabar ye hai ki maine ye game kaafi khela aur iss nateeze par pahocha hoo ki bina paise kharch kiye bhi aap iss game ko khel sakte ho araam se. Isme bas aapko vaise hi adjust karna hoga jaise ki aap Candy Crush Saga khelte hue karte ho.

Android Download Link

iOS Download Link

Agnirated - 7/10

+Badhiya addictive gameplay
-Internet requirement for playing
-In app purchases joki aagey jaake zara had paar kardeti hai.

Article By - Boss Fire

Humse aur bhi behtar judne ke liye please humaare facebook page ko like kare

First Post

Welcome Everyone!


Ye Hot Agni Fire ka bilkul new blog hai jahaa se ab aapko milegi -

  • Har tarah ki awesome entertainment se bhari cheezo ki jaankaari jaise mast video games ki info, anime news, aur har wo cheez jo aapko pata honi chahiye taaki ye duniya aapke liye aur bhi behtar ho sake.
  • Hot Agni Fire ke saare projects ki info se bhi ye page aapko bhara milega.
  • Yahaa milne waali har info hogi hindi me aur agar aapko english me info chahiye to please agniviews par visit kare.